Namskar dosto aap sabhi ka hamare Blog par svagat hai dosto aaj ke article me ham aapko batayege ki aap apne phone se ghar bethe bethe Dhani App ke jariye pese kama sakte hai jo bilkul free hai isme aapko koi shulak nahi lagne wala. bus aap dyan se is article ko pura padhe. is article men aapko Dhani App se Paise Kaise Kamaye jate hai isse judi bhi jankari milegi.
Dhani App Kya Hai?
India bulls Dhani app ek online payment app h jiske founder v chairman sameer gehlaut hai. Dhani app ek indian app h jiska headquarter haryana jhile ke gurgaon me hai jiski sthapna 1999 mei hui thi. Dhani app ek esi application h jisme hame kayi tarh ki suvidhaye milti h jese ki dhani app se ham loan lene ke saath saath online shopping, bill pay, recharges, online tickets book kar sakte h.
जरूर पढ़ें : Flipkart Franchise Kaise Le [2 लाख तक कमाएं]
Dhani App me Account Kaise Bnaye?
Dhani app me account banana bahut hi aasan h ham aapko kuchh step batate h jinhe follow karke aap aasani se dhani app pe account bana sakte h.
- Step. 1 Android mobile phone me play store se dhani app install karen. (Iphone me app store) se
- Step. 2 Phone me app open kare or apna mobile no. Enter kare or next par click kare
- Step. 3 Next page me aapko apna password choose karke lagana h jo aapko ache se yaad rahe. Or password pin b alphabhet lagaye
- Step. 4 Ab app aapse aapka document maangega jisme aap apna aadarcard, pan card, votercard me se koi ek choose kar sakte h.
- Note- [Aapko bata de ki ye application safe or trusted indian app h jiska mukhay mukhyalya gurgaon me h to aap sabhi document enter karne se ghabraye na]
- Step. 5 Ab aapke mobile no. Jo aapne starting me use kiya us Par otp aayega usko enter kare or verify kare.
- step. 6 OTP verify hone ke baad skip karke aap dhani app ke homepage par pahunch jaaoge.
Ab aapka dhani app par account banane ka prosess complete ho jata h Or aap is app ko use kar sakte h.
जरूर पढ़ें : Instagram Story Download Kaise Karen
Dhani App se Paise Kaise Kamaye?
dosto aaj aapko dhani app se pese kese kamaye? artical me pese kamane ke kayi tarike batayege jisse aap aasani se pese kama sakte h
1. Dhani App se payment transfer karke pese kamaye-
dosto dhani app me hame yah suvidha milti h ki ham kisi bhi dusre vyakti ko mony transfer kar sakte hai jisse hame cashback milta h jo hamare wallet me jama ho jata h. Agr ham sida bank se mony transfer karte h to hame koi cashback nhi milata.
2. Dhani app se recharge, bill pay karke pese kamaye-
dhani app se ham electricity bill, dth recharge, online shopping, mobile phones recharge kar sakte h jisse hame par recharge par cashback milta h
3. Refer to earn-
dhani app ko ham apne doston me refer karke yani ki unke phone me dhani app ko install karwa le or us par account banwa de to hame paise milte h jitne jyada logo ko ham refer karege utni hi jyada encome hogi jise ham wallet me se aasani se withdraw kar sakte h.
4. Dhani app me game khelkr pese kamaye –
dhani app me pese kamane ka ek bahut hi badiya feature h jisme ham kai tareeke ke games khelkar pese earn kar sakte h. Or khas baat ki isme games khelne ki koi limit nhi h.
5. Wallet se pese kamaye-
Dhani app me earn kiye paise ko reedem karne par cashback milta h. Wallet me jama paiso se ham online shoping, bill pay etc kar sakte h
जरूर पढ़ें : Instagram Reels Par Views Kaise Badhaye
Dhani App ke Faayde
dhani app ek esi application h jiski madad se hame kayi tarh ke laabh milte h.
- Dhani app se online payment karne ke alava isme ham apni jeb kharch ke pese bhi earn kar sakte h.
- Dhani app ki madad se aap kisi bhi tarh ka insurance karwa sakte h
- Dhani app ki madad se ham loan bhi le sakte h yah hame kayi tarh ke loan provide karwata h jese personal loan, education loan, medical loan etc. jo badi hi aasani se ham ghar bethe-bethe prapt kar sakte h or khaas baat yah ki isme vyaj dar bhi bhaut kam hoti h.
- Dhani app me ek bahut badiya help hame yah milti h ki ham kisi bhi time 24 hour doctor se advice le sakte h.
- Dhani App ki madad se aap stock kharid sakte hai agar aap me se koi bhi share market me interest rakhta hai to isme aap pese invest kar sakte hai or aaj ke digital zamane me achha khasa pesa bhi kama sakte hai.
जरूर पढ़ें : गूगल से पैसे कैसे कमाए
Dhani app se pese kese nikale?
Dosto hamne aapko bataya ki dhani app se pese kese kamaye? iske baad ab ham aapko btate h ki dhani app se pese kese nikale? Dhani app ke wallet se ham pese paytm ya side apne bank account me transfer kar sakte h mai aapko kuchh step batata hu jinki madad se aap aasani se pese withdraw kar sakte h.
- No. 1 dhani app ko open karke homescreen par diye wallet ke option par click kare.
- No. 2 wallet par click karne ke baad transfer to bank account par click kare.
- No. 3 iske pashchat apni bank detail fill kare or apne wallet se pese aasani se nikal sakte h.
Indiabulls dhani app se loan kese le?
Dosto sabse pahle aapko bata de ki indiabulls application dhani app se ham loan bhi le sakte h jo ham bahut hi aasani se kam interest(vyajj) par prapt kar sakte h.
Aaj ke digital jamane me kaam karne ke tarike bahut hi asaan ho gye h saath hi ham sab log digital tarike se kaam karna pasnd karte h. esi tarh agar ham bank se loan lete h to hame bahut se documents teyar karne padte hai, kayi tarh ke agents ko pese dene padte h, samya ki barbadi hoti h or immediately loan nahi mil pata lekin dhani app par kuchh hi samya me aapko loan mil jata h
Ek baat orr jab ham sunte h ki ham kisi application se 5-10 mint me ghar bethe loan le sakte h to hamare dimag me kayi tarh ke vichar, questions uthne lagte h ki koi application loan kese de sakti h, kahi koi fraud to nhi, hamari personal bank detail to nhi churai ja rhi etc.. To aapko bata de ki yah application bilkul secure hai yah kisi tarh ka fraud nhi karti
जरूर पढ़ें : गूगल से पैसे कैसे कमाए
Dhani app ke secure hone ke evidence
Sabse pehle to yah ki indiabulls dhani app ek indian app h or yah 1999 se karyrat h jo iske secure hone ka parman h
Dhani app ko bade bade Indian stars promote karte hai hame social media par iski add dekhne ko milti h jisme indian cricketer ms. Dhoni isko promote kar rahe h.
Dhani app kon konse loan provide karwata h?
Ab ham jaante h ki dhani app hame kis kis parkar ke loan provide karwati h to ham aapko bata de dhani app bahut si tarh ke loan provide karwati h
- personal loan
- home loan
- medical loan
- education loan
- car loan
- wedding loan
- travel loan
- two-wheeler loan
Dhani App se Loan Lene Ke Jaruri Documents-
Dhani app se loan lena bahut aasan h isme aapko kisi parkar ke extra papers teyar karne ki aavsykta nhi padti Dhani app se loan lene ke liye normal document ki aavsykta hoti h
- Aadar card
- Mobile no. Jo aapke aadar card se link ho
- G-mail I’d
- Pan card
- Bank account
Dhani app se loan lene ke liye aapke paas ye document hone jruri h agar aapke paas inme se koi bhi document pura nhi h to sabse pahle use complete kar le.
Dhani app se personal loan kese le?
Dhani App se aap aasani se loan le sakte h lekin iske liye aapko mare bataye kuchh steps ko follow karna hoga jiski madad se aap kam interest par loan le sakte hai dyan rahe ki aapko niche diye steps ko achhi tarh se padkar step by step chalna hoga or apni personal detail ko sahi se fill karna hoga tabhi aap loan lene me samrth ho sakte ho.
- Sabse pehle aapko dhani app open karna h or mere upar bataye Dhani App par account kese banaye? ke step ko follow karke dhani app par account banaye.
- Dhani app ko open karne ke baad ab aapko instant credit line ke option par click karna hoga or next step me avil now ke option par click karna hoga.
- Ab aapko di gyi details ko dyan se padna h or niche scroll karke aadarcard kyc bharni padegi.
- Is step me aapko aadarcard no. enter karke captcha fill karna hai or uske baad GENERATE OTP par click karna hai.
- Aapke aadarcard se link mobile no. par OTP aayega
- Ab aapke paas 2 option aayege
- OTP value
- Share Code : OTP value me aapko OTP no. fill karna hoga or share code me aap apni tarf se code enter kare jo aapko yaad rahe.
- Next step me aapse aapki personal information puchhi jaayegi jise aap fill karke agree and continue par click karna hoga.
- Ab aapke wallet me pese aa jaayege or aapko pata lag jaayega ki aapko kitne rupees ka loan mil jaayega
- Loan ke confermation ke liye aapki selfie maangi jaayegi. Selfie usi vyakti ki prove hogi jis vyakti ka aapne aadar no. use kiya hai selfie lene ke baad agree and continue par click kare.
- Next step me aapko apni bank detail fill karni hai jisme aapko apna bank ko select karna h or Account number. fill karne ke saath saath IFSC CODE enter kare.
- Iske baad validate par click karna hai
- Ab aapko apna net banking ka user id or password enter karna hoga jisse aapki monthly interest automatic bank account se kaat li jaayegi.
- Ab aap payment detail ko except karke aage badhe.
- Ab aapko bank ki tarf se aaye OTP ko fill karke confirm kare or uske thodi hi der baad transaction status ki detail khulkar saamne aayegi.
- Iske baad aapko full KYC update karna hoge jise aap upgrade ke option par click kar de.
- Last step me aapke saamne congratulations likha show hoga or aapka plan active ho jaayega ab aap Dhani App ke wallet me jaakr check kar sakte h aapke pese wallet me aa gaye h jise aap kisi bhi tarh use kar sakte hai.
Nishkarsh (Conclusion)
Dosto aaj is article me mene aapko indiabulls dhani app ke baare me detail se bataya jisme hamne aapko bataya ki aap dhani app se pese kese kamaye, Dhani app se loan kese le, Dhani app me online payment kese kare, Dhani app se loan lene ke liye kon konse document chahiye etc.
Agar aapko yah article Dhani app se pese kese kamaye value for time laga to ise social media platform par share jarur kare aur agar aapko padne ke baad bhi kuchh samjh nahi aaya to comment karke puchh sakte ho.
Thanku friends.